Kbi barish brsti hy....to...

Kbi barish brsti hy
to mujko yad ata hy
Wo aksr mujse kehta tha
Mohabat aik barish hay
Sbi pe jo brsti hy
Mgr phir b nhi hoti
sbi k waste yksan Kisi k waste rahat
kisi k waste zehmat
Men aksr sochti hun ab
wo mujse theek kehta tha,
Mohabat aik barish hay
Sbi pe jo brsti hy
kbi mujh pe b brsi thi
Mgr mere liye barish
kbi na bn ski rahat
Ye rahat Q nhi bnti
Kbi men khud se puchoon to
ye dil deta duhai hy
kbi kachay mkanoan ko
b barish raas aai hy?

Re: Kbi barish brsti hy…to…

Wah … bahut aa’laa … :k:

Re: Kbi barish brsti hy....to...

thanX

Re: Kbi barish brsti hy....to...

shaa'ir ke naam kaa to mujhe nahiiN pataa magar mujhe yeh baat khaTaktii hai k sho'araa bhii Ghalat ul aam aur Ghalat ul aam se do chaar haiN...

..."baarish honaa" zabaan o bayaan kii roo se saHeeH hotaa hai na k "baarish barasnaa"...afsos hotaa hai k kaise zabaan masKh kii jaa rahii hai aur vo bhii adabii logoN ke haathoN.

it was just 'my 2 cents'.

Re: Kbi barish brsti hy....to...

KKF bro yahan to bohat kuch ghalat ho raha hy

Re: Kbi barish brsti hy....to...


ho rahaa hai to dekh kar kam az kam chaar aaNsoo to bahaa kar jaanaa chaahiye :D

Re: Kbi barish brsti hy…to…

Hmm…:d:teary3:

Re: Kbi barish brsti hy…to…

:hmmm:

baat to sahi kahi aap ne, lekin jab dil pe chaut lagi hui ho to shayar hazraat puri duniya ko masakh karne per tul jate hain

Re: Kbi barish brsti hy…to…

yeah, i guess…har baat ko baalaa-e-taaq rakh kar ek taaraa dhun pe geet likhte chale jaate haiN…na zabaan kaa Khayaal, na andaaz e bayaan kii fikr aur na hii imsaal kii mauzooniyat kii taraf koii dhyaan…aise hotii hai BULKY shaa’irii…karte jaao dhaRaa dhaR bhale hii us men quality na ho, quantity to baRhtii jaatii hai :slight_smile: bisyaar goyii bhii ek fan hai lol

Re: Kbi barish brsti hy…to…

imsaal kii mauzooniyat :hayaa:

waise ab wo parhene wale bhi to nahin rahe jo is tarah ki cheezon ka khayal rakhen

Re: Kbi barish brsti hy…to…

bajaa! magar iskaa matlab yeh to nahiiN k adabii log hii is deevaar ko mismaar kar deN…agar aisaa ravaa rakkhaa gayaa to phir adab meN bachegaa hii kia? :frowning:

Re: Kbi barish brsti hy....to...

enter10 :ASA: shayar ka pata lagao