Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

I am posting in this forum after such a long time :slight_smile:

The “Zameen” is inspired by a poem posted by bheegiyad in Intikhab few days back - she did not know the name of the poet neither do I… Hope, it’s not too much out of “Wazan” - unintenionally became a bit long - pardon me for that.

A’yaN huaY thaY yuN, aasaar-e-subh kaY buss
Guzra huva woh ka’L, phir guzarta chalaa gaya

HuaY go raqeeeeeeb khud apnaY Chaarah gar
maiN aap apnaY daam maiN aataa chalaa gaya

Shaaaam-e-Firaaq aayi tau chhaa’i phir shafaq
BunkaY Jugnu chamaN maiN uRtaa chalaa gaya

soookhay huaY thaY la’b, sehraa maiN jub talak
har simt saraab, aur maiN bhaagaa chalaa gaya

Shab maiN roshni keeee phooTi naaa koi kiran
kaun thaaaa woh jaaanaY kidhar chalaa gaya

TaaaroN kee roshni maiN zulmat kaa noor thaa
Ma’htaab bhee faza maiN khoyaa chalaa gaya

Lori maiN jo tarang thee, mamta ka rung thaa
Tif’L-e-maasoom gaud maiN sotaa chalaa gaya

Khauf-e-Khudaa saY dar kar jo majzoob ho gaya
Dil maiN bujhaY zeh’r saY Jahannum chalaa gaya

Yeh Aaeeen-e-Bewafaaai hai ya dil kaa koi mar’z
Anwaar say woh duuuur aur hotaa chalaa gaya

BY: AQ

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

errr… I posted it in Intikhab.

Shab or Nikami please, move it :smack:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

:k:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

very nice :k:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

very nice poem, AQ.

inspired this:
not nearly as nice but here it is.

na rah guzr kee simet koe, na koe rahi
rasta mowr, mowr aik rasta benta gaya

wohee chingari jeltee heye yaklekth phir
sotch ka mhewver apna jehan benta gaya

lazim tha keye utheien ankhein aur deikhein
werna debta dil kamoshee marz benta gaya

leh per, aur taan per natechey jo koe yoon
aisee dil pasand dhun wohh benta gaya

rifakat kee alamet pinha jeb iss meye
tow wohh daira kismet kee muraad
aik lakeer benta gaya

Dushwari

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

buhat achi thoughts hain AQ jee which are comprised in the ghazal.. kaheen kaheen kafeay main wazan different hai magar its really very beautiful.. :hugz:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

thanks MM, Shab, Dushwari and redidentity..

RE:

Qaafiye maiN wazan different? I think you meant tuk bandi maiN wazan kee kami because I think I used the exact same words for Qaafiya, did not I??

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

nahi na.. aapki ghazal main chala gaya is radeef.. whilst khoya, soya, bhaaga, urta, hota, sota, jahannum, kidhar, khoya were supposed to be used as words with same delivery tone i.e. qafia :$

mujhe sahee se explain kerna nahi araha shayad.. lets see.. khoya, soya, bhaga, hota are words with alid in the end.. magar kidhar n jahannum are not in same flow.. :)

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

Ahmer, have you ever heard of Ghazal Gher Muraddaf?

Well, here is ghazal Gher "MuQallaf" :D

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

:hayaa: nahi suna.. abhi parh leta hoon gher mudarraf ke baray main :blush:

thanks for adding meri knowledge :hugz:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

buhut umda...........AQ ji

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

[QUOTE]

Khauf-e-Khudaa saY dar kar jo majzoob ho gaya
Dil maiN bujhaY zeh'r saY Jahannum chalaa gaya

[/QUOTE]

how true : (

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

A'yaN
aasaar-e-subh

go
raqeeeeeeb
Chaarah gar
daam

Shaaaam-e-Firaaq
shafaq
saraab,

phooTi
zulmat
Ma'htaab

tarang
Tif'L

majzoob
moshkel words:ASA:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

hmmm... khoob hai

jaisa kay redidentity nain kaha kuch shairon main qafia ghayeb hai... aik dou aur bhi baat wazahat talab hai par main nahin poochta :D

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

very nice :k:
Gul-e-tasbeeh told me that its by nasir kazimi

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

Bohat khoob AQ..:k:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

Yeh Aaeeen-e-Bewafaaai hai ya dil kaa koi mar'z
Anwaar say woh duuuur aur hotaa chalaa gaya

V nice :)

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

very nice and touching AQ. baray dinno baad kuch aap ne post kiya

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

zabardast :k:

Re: Kaun thaa woh jaanaY kidhar chalaa gaya -

veryyyyy nice AQ...kafi arsay baad kia hy post...but bht khoob.