Kaun kehta hai ke maut aayi toh marjaunga
mae toh dariyaa hun samandar mein utar jaunga
tera dar chhord ke mae aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sehraa mein bikhar jaunga
tere pehluu se jo uthunga toh ye mushkil hae
sirf ek shaqs ko paunga jidhar jaunga
ab tere shaher mein aaunga musafir ki tarha
saaya-e-abr ki maanind guzar jaunga
tera paimaan-e-wafaa raah ki deewar bana
warna socha tha ke jab chahunga mar jaunga
chaarasaazon se alag hai mera maiyaar ke mae
zakhm khaunga toh kuch aur sanwar jaunga
ab toh khursheed ko dube sadiyan guzri
ab usse dhundne mae taa-ba-saher jaunga
zindagi shamma ki maanind jalatun hun “Nadeem”
bujh toh jaunga magar subah toh kar jaunga
Ahmed Nadeem Qasmi