Ghar Wapis Jab Aao Gay
Tumhein Kon Pehchanay Ga
Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
Bin Dastak Darwaza Gum Sum
Bin Aahat Dehleez
**Sonay Chandi Ko Taktay Taktay **
Raahein Parr Gai Maand
Kaun Kahe Ga Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
Kaun Kahe Ga Tum Bin Saajan Kese Kat’te Din Raat
Saawan Ke Sou Rang Ghulay Aur Doob Gai Barsaat
Kaun Kahe Ga Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
Pal Jese Pathar Ban Jayein
Ghariyan Jese Naag
Din Niklay To Shaam Naa Aaye
Aaye To Kohraam
Kaun Kahe Ga Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
Ghar Wapis Jab Aao Gay Tum
**Kya Dekho Kya Paao Gay **
Yaar Nigaar Sangi Saathi
Madh Bharri Thein Akhiyaan Jin Ki
Baatein Phul Jharriyaan
Bujh Gaye Wo Log Pyare
Reh Gai Kuch Larriyaan
Kaun Kahe Ga Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
Dhool, Babool, Baboulay Dekho
Aik Gurezaan Mauj Ki Khatir
Sehra Sehra Phirte Hein
Tum Bhi Phirrou Darwesh Sifat
Raqsaan Raqsaan Hairaan Hairaan
Laut Ab Kya Aao Gay, Kya Paao Gay
Kaun Kahe Ga Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
Kaun Kahe Ga Kaun Kahe Ga
Tum Bin Saajan Ye Nagri Sunsaan
