kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hein soch lena

**kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hein soch lena
woh chor jate hein ik qadam per jo sath chalte hein soch lena..

ye reet tum na nibha sako ge na sath chalne ki baat karna
k ishq walon ki rehguzar mei chanab ate hein soch lena..

tmhain kaha tha k ban k apna fareb deta hai ye zamana
tmhain kaha tha k aasteeno mei saanp palte hein soch lena..

wo basti jahan pe hum tum mile the mil k bichar gae the
wahan pe ab bhi meri wafa k chiragh jalte hein soch lena..**

Re: kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hein soch lena

**ye reet tum na nibha sako ge na sath chalne ki baat karna
k ishq walon ki rehguzar mei chanab ate hein soch lena..

:lajawab:
**

Re: kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hein soch lena

matti ka gharra hai na

Re: kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hein soch lena

wo kahan paar lagata hai.. beech darya dibota hi hai