~kashmakash~

raasta apna badalna bhi nahi chaahta hai
meri raftaar se chalna bhi nahi chaahta hai

baat karta hai andheroN ko mitane kee magar
shamma kee tarah se jalna bhi nahi chaahta hai

kis tarah usko mai dariya kee rawani kar dooN
barf hai aur wo pighalna bhi nahi chaahta hai

dhaalta bhi nahi wo apne tamaddun mein mujhe
meri tehzeeb mein dhalna bhi nahi chaahta hai

isq wo khel jo achaa bhi hai achaa bhi nahi
dil wo bacha jo bahalna bhi nahi chaahta hai

mujhse kahta hai ke thokar se bachaaty rahna
aur sambhaalo to sambhalna bhi nahi chaahta hai

mai he hooN aalam-e-imkaN mai akela “gulrez”
itr jisko koi malna bhi nahi chaahta hai

Re: ~kashmakash~

bohot khuub!!!!!!!!!!!

Re: ~kashmakash~

Khoob..

Re: ~kashmakash~

thanx:)

Re: ~kashmakash~

Nice one bheegiyaad :k:

Re: ~kashmakash~

wow! mujhe bahot pasand aayee. thanks beegiyaad!