thank u all who appreciated my posting- mahamkhan, sannan. ye li jiye..one of my favourites. its actually sung by Abida Parveen and I’m only taking a bit from the whole ghazal:
“ay ishq bata, kuch tu hi bata
ab tak ye muammal hal na huwa
mujh mein hai dil-e-betaab niha
ya aap dil-e-betaab hain hum.”
Re: Kashmakash
"ay ishq bata, kuch tu hi bata
ab tak ye muammal hal na huwa
mujh mein hai dil-e-betaab niha
ya aap dil-e-betaab hain hum."
[QUOTE]
[/QUOTE]
acchi hai....lekin ager aap poori ghazal send karo tub parh ker zayada accha lagey...
Re: Kashmakash
nice one and wlcome here J-wali :)
Re: Kashmakash
good choice wali
Re: Kashmakash
Dhoodoge agar mulko mulko
milne ke nahi nayaab hain hum
taabeer hai jiski hasrat-o-gham
ay humnafson! wo khwaab hain hum
Ay dard bata kuch tu hi pata
ab tak ye muammal hal na huwa
hum mein hai dil-e-betaab niha
ya aap dil-e-betaab hain hum?
Main hairat-o-hasrat ka maara
khamosh khada hun saahil par
dariya-e-muhabbat kehta hai
aa kuch bhi nahi paayaab hain hum
Lakhon hi musafir chalten hain
manzil pe pahunchte hai do ek
ay ahle-zamana qadr karo
nayaab na ho kamyaab hain hum
Dhoondoge agar mulko mulko
milne ke nahi nayaab hain hum.
LIjiye...muqammal ghazal. Umeed hai pasand aaye aap logon ko.
Re: Kashmakash
Wah JW!Khub hy intikhab tumhara ;Unwan Ksahmakash dykh kr mujhy Iqbal ka woh shyr yad agiya
Isi Kashmaksh main guzrin meri zindagi ki Ratin
Kabhi soz o sazy Romi Kabhi pych o taby Razi
Re: Kashmakash
Dhoondoge agar mulko mulko
milne ke nahi nayaab hain hum.
greattt
Re: Kashmakash
Dhoodoge agar mulko mulko
milne ke nahi nayaab hain hum
taabeer hai jiski hasrat-o-gham
ay humnafson! wo khwaab hain hum
Ay dard bata kuch tu hi pata
ab tak ye muammal hal na huwa
hum mein hai dil-e-betaab niha
ya aap dil-e-betaab hain hum?
Main hairat-o-hasrat ka maara
khamosh khada hun saahil par
dariya-e-muhabbat kehta hai
aa kuch bhi nahi paayaab hain hum
Lakhon hi musafir chalten hain
manzil pe pahunchte hai do ek
ay ahle-zamana qadr karo
nayaab na ho kamyaab hain hum
Dhoondoge agar mulko mulko
milne ke nahi nayaab hain hum.
[QUOTE]
[/QUOTE]
wah,bohat khoob...!
Re: Kashmakash
mahamkhanji aap tareef rakh jaate hain toh Jhanjharewali itraa jaati hai ;).
aur sab ka bhi bahot shukriya!
Re: Kashmakash
HUM AAP KEY DASTAAN KA INTIZAAR KAR RAHAY HAIN :aq:
Re: Kashmakash
Sannanji meri dastaan har ik sher mein bikhri huwi hai. Jaese unko muqammal karna na muyassar hai waese hi meri dastaan ko muktasar karna bhi thorda mushkil hai. Thorda thorda sa sab mein se hame kuch samet lijiye ;). Aap ki tawajjo ke liye meherbani ji!
Re: Kashmakash
naheen yaar itna time naheen hay upun kay pass kah kuch sameet sakain
… hum apnay aap ko na sameet lain