Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota
*** Main itna be bas aur lachar na hota***

*** Tuj se karta na haal e dil kabhi apna byan***
*** Jo tuj ko panay ko youn bekaraar na hota***

*** Tu ne to tor dalay sab ahed e wafa kab k***
*** Main b ik sadi se youn sharmsar na hota***

*** Baich dalay khasaray main dil k sab jazbaat apnay***
*** Kash meray dil ka ye teray dil se karobar na hota***

*** Hum b bacha laitay apni ank k chand ansuoon ko***
*** Gar teri muskurahat ka dil ko koi khumar na hota***

*** Bhool jatay un vassal si khamosh shamoon ko b***
*** Kash k garoob e aftaab ka silsala bar bar na hota***

*** Pa hi laitay hum khuda ko zoq e janoon main Ahmed***
*** Dil jo ik khaki fitrat ka talabgar na hota***

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

Wah, wah.....thanks for sharing!

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

Tuj se karta na haal e dil kabhi apna byan
Jo tuj ko panay ko youn bekaraar na hota

Tu ne to tor dalay sab ahed e wafa kab k
Main b ik sadi se youn sharmsar na hota

kia kehnay hamesha ki tarah umda selection thx dania

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

:)

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

                                            bahot khoobb........!

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

{Bhool jatay un vassal si khamosh shamoon ko b
Kash k garoob e aftaab ka silsala bar bar na hota}

Wahhh,,, Dania,, buhat achey,, Wahh,,
Humain kia bura tha merna ,, wo jo aik bar hota,,,

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

:)

Re: Kash mujay tuj se kabhi pyaar na hota

buhut khoob ji :)