Kash kay woh samjh jata

[thumb=A]muhbit_ka.JPG[/thumb]

==============================================
Where there is love there is God
Cute_ranja

**
Muhabbat ka bharam hota tu phir kuch soch kar jaatay
Wagarna Ajnabi ban kar mere hamdam ! guzar jaatay

Yeh soch hai ! gar yakeen hota pallat kar tere aanay ka
Tu phoolon ki tarha hum bhi teri raah mein bikhar jaatay

Issi tanhaee ka hum per bara ehsaan hai yaaro
Na deti saath yeh apna tu jaanay hum kidhar jaatay?

Mein khaa kar dard ki thokar raha sabit qadam phir bhi
Yeh thokar gar tumhein lagti yaqeenan tum bikhar jaatay

Mujhe barbaad kar ke yun, agar daaman churaana thaa
Tu aaghaaz-e-muhabbat mein hi in lamhoon se dar jaatay

Thakkay haray parindoo ko jo dekha tu khayaal aaya
Agar koi muntazir hota tu hum bhi apne ghar jaatay

Tabasuum, woh basad chahat agar hum ko sada deta
Najaanay kitne toofan se takra kar guzar jaatay
**

:k::k::k: Excellent and thanks for sharing :slight_smile:

very nice :k:

:k:

bohut khoob arif u too:k::k:
thanks:)

wonderful thanks 4 sharing!