Khud manzil ko thukraya hai, Majboor ke saaye hain
Taareki mein hum ne apne, Dil ke daagh jalaaye hain
Haar gaye do pyar bhare dil, Zaalim rasmain jeet gaeen
Tere bina yun ghareyaan beeteen, Jaise sadeyaan beet gaeen
Loot liya halaat ne hum ko, tera jahaan abaad rahay
Kaash humein tu bhool hi jaye, pyar na tujh ko yaad rahay
Pat-jhar hi anjaan thaa jin ka, ab woh baharain beet gaeen
Tere bina yun ghareyaan beeteen, Jaise sadeyaan beet gaeen