Karnaa na kahii bhuul ke shaitaan kii yaaro
Gardan na jhuke sharm se iimaan kii yaaro
Duniyaa mein bhalaaii bhii buraaii bhii milegii
Ab tum ko zaruurat hai to pehchaan kii yaaro
Maango na kabhii Rab ke siwaa aur kisii se
Daaman pe jame GARD na ahsaan kii yaaro
Duniyaa hai yeh manzil ke faqat ek saraa-ae
Mushkil hai yahii hazrat-e-insaan kii yaaro
Haq par jo chalaa huuN to bhalaa maut ka dar kyaa
Abid ko hai ab fikr kahaaN Jaan kii yaaro