KARACHI......

jo zehen me aya likh dala apnay sheher ko khon me doba dekh kar

kaisay yeh badal meray iss sheher pay chanay lagay
ummat e MOHAMMADi apni shanakht ab qomyat karanay lagay

aaqilan e sheher say jab pocha me nay un ka haal
rotay rotay bass mujhay wo lashain ginwanay lagay

kaun rokay ga bhala iss qoum ko tabah honay say, jab
ba khilaf e muslman ahkaam e jahad, masjid say anay lagay

aadi hogaya hain ab to, khon k hum iss qadar
har qatal k darmiyani waqfay, aman kehlanay lagay

khauf ka hai aisa alam, yousuf mujh say poch mat
waqt e namaz sir pay hai par masjid say katrany lagay


Restored attachments:

Re: KARACHI......

Bechara dead bhai

Re: KARACHI......

mujhay nahi lagta k apka ilaaj abhi tak pora hua hai
phir bhi app ko AZAD kardya gaya hai

Re: KARACHI......

Murda saRe Howe badroh ke kosnay se dor nahi Mara karte. :)

Re: KARACHI......

thanks
iss umer me sathya jana normal baat hai
so u carry on

Re: KARACHI…

:k:

sach kaha…khof dilon main aisay bas gaya hai ke news channels on karty waqt yehi lagta hai ke (Allah na karay) kisi aur dhamakay ki khabar milay

Re: KARACHI......

Hummmmmm bechara Murda saRa howa bad Roh.

Re: KARACHI…

Nice try DS :k:

Re: KARACHI…

Bohat Khoob DS..:k:

Re: KARACHI......

app sub ka shukrya

Re: KARACHI......

har qatal k dermiani waqfe aman kehlene lage...bohat alaa.

Re: KARACHI......

rhx shazia

Re: KARACHI......

Allah Ta'ala hamaray mulk ko apnay hifz-o-amaan maiN rakhay..aameen

Re: KARACHI......

summa ameen