**salaam dosto
abhi maiN ne Shazia Arif saaHiba kii pesh karda Ghazal intiKhaab section emN paRhii jo mujeh pasand aayii so usko maiN yahaN tarannum se paRhne kii jasaarat kar rahaa huN ummeed hai k aapkii sam’a_Kharaashii aka sabab nahiiN banegii. shukria.
kar na duniyaa-e-Gham-e-jaaN ke Hawaale mujhko
maiN tabassum huN, tu hoNToN pe sajaa le mujhko
tu milaa hai to yehii Khauf lagaa rehtaa hai
teraa milnaa kisii uljhan meN na Daale mujhko
is yaqiiN par hai andheroN meN safar bhii jaarii
mil hii jaayeNge kisii roz ujaale mujhko
terii nafrat ne hii majboor kiyaa jaane par
ab tiraa pyaar kahiiN maar na Daale mujhko
be-niyaazii kaa yeh andaaz ab nahiiN kuchh bhii
baat to tab hai k wo dil se nikale mujhko
shukria
_______Hashmat**