Sheikh apne betay ko lekar ker hajaam ki dukaan per gaya..
Sheikh ne baal cutwaye, shave kerwai aur hajaam ko kaha: Tum bachay ke baal kaato me sabzi lekar aata hoon…
Hajaam ne bachay ke baal kaat diyey per sheikh wapis naa aaya…
Jab kafi dair hogai to hajaam ne bachay se pucha: Tumhare abbu kahan chale gaye ???
Bacha bola: Wo mere abbu to nahi thay…
Hajaam: Phir kon thay ???
Bacha: Pata nahi me to galli me khel raha tha to ye aadmi aaya aur mujhe kaha aao me tumhare muft baal katwa doon…