Bus main sawar ek kanjoos admi kam kiraya dene pe jhagra ker raha tha. Baar baar keh raha tha ke kiraya bohat zaida hai main adha doon ga. kafi dair tak bus conductor or kanjoos admi main behes hoti rahi. Akhir kar conductor bhi tang agaya aur kanjoos ka trunk utha kar bahir phainkne hi wala tha ke kanjoos admi chilla ker bola
“hadh hogayi hai ek tou aap itna zaida kiraya maang rahe ho aur uper se mere baite ko bhi zakhmee karna chahte ho”