ap sab ki be-panaah muhabat ko dekh kar mujhe be-had khushi horahe hai ap sab ki mein mashkor hon ke ap ne meri pehli kavish ko baess-e-taref samjha. aj phir ap sab ki nazar ek aur khobsurat kavish jis ka unwaan hai ‘Kaanch ki chooreyyan aur Khuwaab’
**
Jaise kanch ki chooreyyan haseeen hotee hain
Khuwaab bhi dil-nashin hotey hain
Jaise kanch ki chooreyyan kallaeyyoon mein sajti hain
Khuwaab bhi palkoon mein sajtay hain
Jaise kanch ki chooreyyan gungunaatti hain
Khuwaab bhi dharkan ka sur ban jatay hain
Jaise kanch ki chooreyyan larkeyo ka zaivar hain
Khuwaab bhi larkeyo ki ankh ka kajal hain
Magar janaaan
Jaise kanch ki chooreyyan toot jaati hain
Aur kircheyyan kallaeyyoon mein chubh jati hain
Khuwaab bhi tu bikhar jate hain
Aur ansoo ban kar ankh mein utar ate hain
Dekho tu kanch ki chooreyyan aur khuwaab
Donoo kitne milte julte hain**
Ap sab ki taref aur tanqeed ki mein muntazir rahongi
buhat khoobsurat nazam hai bhooli bisrii…zabardast khayal aur khoobsurat hurrof istaimaal kiye gaye hain…and the comparison between khwab aur chooriyaan is excellent :k: Who is the author?
[QUOTE] Originally posted by Bhooli Bisri: *
*
Jaise kanch ki chooreyyan haseeen hotee hain
Khuwaab bhi dil-nashin hotey hain
Jaise kanch ki chooreyyan kallaeyyoon mein sajti hain
Khuwaab bhi palkoon mein sajtay hain
Jaise kanch ki chooreyyan gungunaatti hain
Khuwaab bhi dharkan ka sur ban jatay hain
Jaise kanch ki chooreyyan larkeyo ka zaivar hain
Khuwaab bhi larkeyo ki ankh ka kajal hain
Magar janaaan
Jaise kanch ki chooreyyan toot jaati hain
Aur kircheyyan kallaeyyoon mein chubh jati hain
Khuwaab bhi tu bikhar jate hain
Aur ansoo ban kar ankh mein utar ate hain
Dekho tu kanch ki chooreyyan aur khuwaab
Donoo kitne milte julte hain**
[/QUOTE]
Beautiful BB jii, keep it up & Thanks for sharing:)