https://scontent-b-dfw.xx.fbcdn.net/hphotos-ash3/530494_638039666259405_1517975302_n.jpg
Re: Kamal
kon sa kamal karte hain?
Re: Kamal
mere Khayaal se to marne waale kamaal karte haiN...marnaa bhii to ek kamaal hai! kaun dunyaa chhoRnaa chaahtaa hai?
Re: Kamal
I think jeenay walay zyada bara kamal krtay hain, apny pyaron se bicherny k bad b hoslay se zindagi guzartay hain, :)
Re: Kamal
I think jeenay walay zyada bara kamal krtay hain, apny pyaron se bicherny k bad b hoslay se zindagi guzartay hain, :)
insaan jaane walon ko nahin rota.. unse jude apni khushiyon ko rota hai.... Insaan sirf apne aap se muhabbat karta hai
Re: Kamal
it means apko kisi kisam ki mohabbat pay yaqeen he nhi ![]()
Re: Kamal
main to sirf uss delusion ki sachai bata raha tha, jisse logon ne muhabbat ka naam dia huwa hai ![]()
Re: Kamal
blood relations ki mohabbat to delusion nhi ho skti ![]()
Re: Kamal
waqt ke guzarne ke sath sath khoon bhi patla ho jata hai ![]()
Re: Kamal
maiN jawaab duuN? ![]()
Re: Kamal
![]()
jin k parents na hon yeh bat zra unse puchen ![]()
insan waqt guzarny k sath sath bhool to jata hai but mohabbat khatam nhi hoti specially blood relations se ..
Re: Kamal
aur safed bhii ho jaataa hai jaise kashmiriyoN kaa hotaa hai. ek kashmiri laRkii thii hamaarii class meN…class ke saare laRkoN se FREE kii chai pee magar shaadii hamaare professor saab se kar li!
![]()
Re: Kamal
chajje wali k zikar k bghair ![]()
Re: Kamal
hasrat unn ghunchon pe jo bin khile murjha gae.
Re: Kamal
lol…
mujhe to ‘Khoobsoorat’ laRkiyoN ke pyaar par yaqeen e kaamila hai! ![]()
Re: Kamal
iss kamil yaqeen per agar Kamila Shamsi jaisi koi takra gai to lag pata jae ga
Re: Kamal
mujhy pehle he pata tha apka jawab ![]()
Re: Kamal
yehi wala pyar delusion hota hai
Re: Kamal
hasrat unn ghunchon pe jo bin khile murjha gae.
haN jii...dil e paarah paarah ho gayaa us bewafaa kii 'NO' pe! :(
**
phool aise bhii the jo khile hii nahiiN
jinke khilne se pahle khizaaN aa gaii
aise jeevan bhii the jo jiye hii nahiiN
jinke jeene se pahle hii maut aa gaii
jaayeNge ham kidhar, yeh kise hai Khabar
koii samjhaa nahiiN, koii jaanaa nahiiN!** :(
Re: Kamal
waqt kay sath sabr bhi aajata hai…zindagi rukti nahi hai.. kisi kay dunia main say guzar janay say…
iss baat par to puppi karnay ka dil cha raha hai…