kalion ki mehak hota taron ki zia hota
main b tere gulshan main pholoon ka khuda hota
har cheez zamanay ki aaena e dil hoti
khamosh mohabbat ka itna to sila hota
tum haal e pareshan ki purshash k leay atay
sehraa e tamanna main mela sa laga hota
her gaam pe kaam aate zulfon k teri saaye
yeh qaafla e hasti be rahnuma hota
eshaas ki dali pe ik phool mehakta hai
zulfoon k leay tm nai ik roz chuna hota