kali ko rang-e dhanak dey key kHaab kardalo
tum apnay lams say mujh ko gulaab kardalo
uTha kay hath may marey haseen chahrey ko
kucH is tarha sey parHo tum kitab kardalo
maiN mauj ban ke rahooN kab talak samandar may
keh dhoop ban key mujhey tum sihaab kardalo
mera wajood ajab tasHnagi ka sahra hay
badan kay sHaher ko ab aab aab kardalo
kisi ka youN to huwa kon umr bhar phir bhi
ye aarzo hay mujhey intekHaab kardalo
merey laho sey raqam ho ye dastaan’e firaq
phir usko ahle wafa ka nisaab kardalo
tamaam umr yuN chahoo Urooj ko jaanaN
rah-e wafa ka usey maahtaab kar daalo