Kalam????

:sleep: neend par koi acha kalam??? aghar ho to please share karain … aaj neend main gungunnanay ko jee kar rahay hay.

:sleep:

**
Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay Neend say
Kuch ashk milnay a gaye
Kuch khwaub bhi tootay huay
Kuch logh bhi bhoolay huay
Kuch rasta bhatki huin
Kuch gerd main liptee huin
Kuch bay-tarah phaili huin
Kuch khaul main simti huin

Bairabt si soochain kaye
Bhooli hui batain kaye
Ik shaks ki yadain kaye

Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hi likhta raha

Kal raat bhi woh raat thi
Kuch dair pehlay Neend say
Main dair tak rota raha....
**

Beautiful :k

Kuch dair pehlay Neend say

Bhool kar zat tujah koo yaad kiya
Baat bay baat tujah koo yaad kiya
Neend naraz hoo gayee hum say
Hum nay jis raat tujah ko yaad kiya

[QUOTE]
Originally posted by TajMahal: *
*

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay Neend say
Kuch ashk milnay a gaye
Kuch khwaub bhi tootay huay
Kuch logh bhi bhoolay huay
Kuch rasta bhatki huin
Kuch gerd main liptee huin
Kuch bay-tarah phaili huin
Kuch khaul main simti huin

Bairabt si soochain kaye
Bhooli hui batain kaye
Ik shaks ki yadain kaye

Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hi likhta raha

Kal raat bhi woh raat thi
Kuch dair pehlay Neend say
Main dair tak rota raha....
**
[/QUOTE]

main dair taak rota rha Beautiful nazam t.mahal..:)

Neend naraz hoo gayee hum say

Kia baat hay jee

Oor kuch neendh par???

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Neend naraz hoo gayee hum say

Kia baat hay jee

Oor kuch neendh par???
[/QUOTE]

Neend ka maza chahaye lolzzz
yani ghoom phir kar maza hi chahaye Ap ko
bas itna hi ata hai zayeda Free na ho ;)

:k:

[QUOTE]
*Originally posted by TajMahal: *

Neend ka maza chahaye lolzzz
yani ghoom phir kar maza hi chahaye Ap ko
bas itna hi ata hai zayeda Free na ho ;)
[/QUOTE]

Nawazish ..... itlaann arz hay hum Duty Free main kaam nahi kartay.

i don’t have anything about neend:hoonh:

ppl nice posts:k:

Na to aap ki neendh ko kia howa??

Beautiful

thx for sharing KN

[QUOTE]
*Originally posted by smilly: *
Beautiful

thx for sharing KN
[/QUOTE]

humm

Re: Kalam???

Neend Aati nahi Sari Sari Raat
Bas itna hi aata hai :frowning:

Taj Mahal buhat khooob ghazal hai thanx for sharing :k:

Dil sey nice Qita :k:

Neendra.n ni aandia.n o tere bin neendra.n nie Aandia.n

Mudat say muntazir hain nighahain meri
neendh main gungunna chahain batain teri

Adab Arz

:sleep: time hota to pora kar laytay khair … :sleep:

kuch bhi nahi:p
aur haan yeh yahaan chat karna band karo:smash:
kese din mod se samat ayay gee tumhare aur phir mujhe tumhare help karne paray gee:snooty::stuck_out_tongue: