Reading poetry is also an art like writing poetry. some poets got good style and diction to read poetry.. Others are not that talented, though they are very good writers.
Lets share poetry which has been read by the poet (who wrote that poetry).
Manzar Bhopali recites his poetry very beautifully and that has made him popluar among new poets, besides his jaandar poetry.
taaqateiN tumhaari haiN, par Khuda hamaara hai
aks par na itraao, aaina hamaara hai
aap ki ghulami ka bojh humm na dhoeiNge
aabroo se marn’e ka, faisla hamaara hai
koi bhi hameisha to, jung laRh nahiN sakta
tum bhi toot jaaog’e, tajruba hamaara hai
doobney lagey jab humm, tab khula fareib uska
hum tO yeh samajht’e thEy, naakhuda hamaara hai
dosti se rahn’e meiN aafiyat hai donoN ki
kuch bhala tumhaara hai, kuch bhala hamaara hai
ghairat e jihad apni, zakhm kha ke jaageigi
pahla waar tum kar lo, doosra hamaara hai
is fan meN jo andaaz Jigar Muradabadi ne mut’arrif karvaayaa vo andaaz mushaa’iroN kii rivaayat ban gaii aur aaj bhii rivaayatii mushaa’iroN meN unhiiN ke andaaz e Ghazal saraaii kii ravish bar_qaraar haii…unkii ek Ghazal unhiiN kii aawaaz aur andaaz meN samaa’at farmaaiye. saut kii seHat ke liye ma’zarat Khowaah huN:
**
mere gaaoN ke mushaa’iroN meN ek saaHab the jo mere vaalid aur digar maqaamii aur Ghaire maqaamii sho’araa ke kalaam paRhaa karte the.
Jigar Muradabadi mere gaaoN ke mushaa’ire meN bhii ek baar aaye the…saath meN AsGhar GonDvii bhii.**
these videos are the rarest:
duniyaa ke sitam yaad, na apnii hii jafaa yaad
yeh din bahaar ke ab ke bhii raas aa na sake
**
muddat meN phir vo taaza mulaaqaat kaa 'aalam**
kahaN se baRh ke pahoNche haiN, kahaN tak 'ilm o fan, saaqii!
Bay nigha ankhoo say daikhtay hain parchay ko
Bey khayal haathoon say
Un banay say lafzoo per ungliyaan ghumatay hain
Ya sawal-namay ko daikhtay hi jatay hain!
Her taraf kan-ankheyoon say bach bacha key taktay hain
Doosru key parchoon ko rah-numa samajhtay hain
Shayad iss tarah koi rasta mil jaye!
Bay nishaan khawaboon ka kuch patta hi mil jaye!
Mujh ko daikhtay hain to
Youn jawab copy per hashyee lagatay hain
Dairay banatay hay
Jaissay in ko parchay key sab jawab atay hay
Iss tarah key manzar main
Imtehan-gahoo main, daikhta hi rehta tha
Naql kernay waloo key
Nit naye tareeqoo say
Aap lutf laita tha, doosto say kehta tha
Kiss taraf say janay yeh
Aaj dil key aangan main aik khayal aya hay
Sainkaroo sawaloo sa aik sawal laya hay
Waqt ki adalat main
Zindagi ki soorat main
Yeh jo tairay haathoo main, aik sawal nama hay
Kiss nay yeh banaya hay!
Kiss liya banaya hay!
Kuch samajh main aya hay?
Zindagi key parchay key
Sab sawal lazim hain, sab sawal mushkil hain!
Bay-nigha ankhoo say daikhta hoon parchay ko
Bay-khayal haathoo say
Un-banay say lafzoo per ungliyaa ghumata hoon
Hashiyee lagata hoon
Dairay banata hoon
Ya sawal-namay ko
Daikhta hi jata hoon!!!
waah…yeh Ghazal to merii university meN paRhii gaii…Sir Syed Day [17th October] dinner ke ba’d jo rivaayatii 'aalamii mushaa’ira hotaa hai us meN Saleem Kausar saaHab ne yeh Ghazal paRhii…
…kia yaad dilaa dii…aise hii kaii mushaa’ire maiN ne vahaN attend kiye the. aisaa hii mushaa’ira har saal October 17th ko yahaN Wasgington meN hotaa hai magar maiN kabhii jaa na sakaa
jo bhii videos maiN ne post kii haiN un sab meN GhazleN 'ibaarat meN likhii huii aatii haiN.