KKF
May 30, 2012, 7:25pm
1
salaam dosto,
yeh kalaam jo maiN pesh kar rahaa huN vo 'allaamah Iqbaal kaa hai aur dar asl jo qai’d_Khaane meN ik baadshaah aur ik shaa’ir kii faryaad hai. us baadshaah/shaa’ir kaa ism-e-giraamii “Mo’atamid” thaa jo Ashbelaa kaa baadshaah thaa aur Arabii zabaan kaa ek shaa’ir bhii. Hispaania ke HukmaraaN ne use shikast de kar qai’d meN Daal diyaa thaa. “Mo’atamid” kii nazmeN angrezii zabaan meN bhii tarjuma ho kar “Wisdom of the East Series” meN shaay’a ho chukii haiN.
to mulaaHiza / samaa’at farmaaiye:
**
AUDIO LINK: **Audio Recording on Wednesday afternoon by jhumroo on SoundCloud - Create, record and share your sounds for free
ik foGhaan-e-be_sharar seene meN baaqii rah gaii
soz bhii ruKhsat huaa, jaatii rahii taaseer bhii
mard-e-Hur zindaaN meN hai be_neza o shamsheer aaj
maiN pasehemaaN huN, pashemaaN hai mirii tadbeer bhii
Khud_ba_Khud zanjeer kii jaanib khiNchaa jaataa hai dil
thii usii faulaad se shaayad mirii zanjeer bhii
jo mirii teGh-e-do_dam thii ab mirii zanjeer hai
shoKh o be_parvaa hai kitnaa Khaaliq-e-taqdeer bhii
shukria.
Re: Kalaam-e-shaa’ir ba_zubaan-e-man…vaalid marHoom kii Ghazal - 2

ehsan
May 31, 2012, 8:01am
3
Re: Kalaam-e-shaa'ir ba_zubaan-e-man...vaalid marHoom kii Ghazal - 2
mard-e-Hur zindaaN meN hai be_neza o shamsheer aaj
maiN pasehemaaN huN, pashemaaN hai mirii tadbeer bhii
Kya baat hai, nice sharing.
jiia
May 31, 2012, 8:04am
4
Re: Kalaam-e-shaa'ir ba_zubaan-e-man...vaalid marHoom kii Ghazal - 2
kia baat ALLAMA IQBAL ki
badshah to bilkul hi naumeed ho gaya tha bechara:(
thanks 4 sharing KK
KKF
May 31, 2012, 2:00pm
5
Re: Kalaam-e-shaa’ir ba_zubaan-e-man…vaalid marHoom kii Ghazal - 2
thank you, janaab!
Re: Kalaam-e-shaa’ir ba_zubaan-e-man…vaalid marHoom kii Ghazal - 2
:k:
KKF
June 1, 2012, 1:31am
7
Re: Kalaam-e-shaa'ir ba_zubaan-e-man...vaalid marHoom kii Ghazal - 2
mard-e-Hur zindaaN meN hai be_neza o shamsheer aaj
maiN pasehemaaN huN, pashemaaN hai mirii tadbeer bhii
Kya baat hai, nice sharing.
shukria, karam, navaazish janaab-e-'aalii :)
KKF
June 1, 2012, 1:33am
8
Re: Kalaam-e-shaa'ir ba_zubaan-e-man...vaalid marHoom kii Ghazal - 2
kia baat ALLAMA IQBAL ki
badshah to bilkul hi naumeed ho gaya tha bechara:(
thanks 4 sharing KK
zaahir hai...'allaamah jaisaa shaair ba-qaul unhiiN k:
baRii mushkil se hotaa hai chaman meN deedavar paidaa! :)
haN, bechaarah "Mo'tamid" :(
thankoo so much :)
Re: Kalaam-e-shaa’ir ba_zubaan-e-man…vaalid marHoom kii Ghazal - 2
kia baat hay ji :k:
KKF
June 2, 2012, 5:05am
10

shukria janaab