Bheno, Bhaiyo, aur meray aziz dosto yeh jo sher main aap ko pesh karah hoon yeh mirey dardnaak dil kee awaz hain, aur yeh meree aaj kee zalim dunya se faryaad hain… maath bhulo unko jo thum seh pehlay is rahstay peh guzray, unhon ne tho tikanah apna leh leya thum apna kya banao ghay?
Kal woh theh jinhon ne humko mulk banadeeya
aaj woh hain jinhon neh is tofay ko barbaad kardeeya
kal woh thai jo hotay is mulk ke khidmaatghar
aaj woh hain jin se kutha be wafadaar
kal wo thai jo is mulk ke janissar
aaj woh hain jo is mulk ki defah ke dawaydaar
kal woh chalay gahay jo thai Imaan-daar
aaj sirf rehthay hain kaum aur milat ke ghadaar.