Sheeshay ki deewar na tooti, taaray toorne waloon se
Ishq mein jo suntay aaye hain, Qissay hain afsaanay hain
Meri kahaani sun’ne waale, baat na kar majboori ki
Milna ho tu milne ke bhi, laakh aur bahaanay hain
Kyon mujh se iqraar kiya thaa, pyar mein saath nibhaanay ka
Shama bhuja kar door huwe hain, kehtay thay parwaane hain
Kal tak jo kehtay thay apna, aaj wohi begaanay hain…
Begaanoon ko apna samjha, hum kaise deewane hain…