kal Shab dil-e Aawaara ko seenay say nikaala
yeh aakhiri kaafir bhi madeenay say nikaalaa
yeh fauj nikalti thi kahaan Khaana-e dil say
yaadoon ko nihaayat hi Qareenay say nikaalaa
main Khoon bahaa kar bhi hu'aa baagh main rusvaa
us gul nay magar kaam paseenay say nikaalaa
Thehray hain zar-o-saem kay HaQdaar tamaashaa'ie
aur maar-e siyah ham nay dafeenay say nikaalaa
yeh soch kay saahil pey safar Khatm nah ho jaa'ay
bahar nah kabhi paa'oon safeenay say nikaalaa!
[QUOTE] Originally posted by Lamhay: *
**kal Shab dil-e Aawaara ko seenay say nikaala
yeh aakhiri kaafir bhi madeenay say nikaalaa*
yeh fauj nikalti thi kahaan Khaana-e dil say
yaadoon ko nihaayat hi Qareenay say nikaalaa
main Khoon bahaa kar bhi hu'aa baagh main rusvaa
us gul nay magar kaam paseenay say nikaalaa
Thehray hain zar-o-saem kay HaQdaar tamaashaa'ie
aur maar-e siyah ham nay dafeenay say nikaalaa
yeh soch kay saahil pey safar Khatm nah ho jaa'ay
bahar nah kabhi paa'oon safeenay say nikaalaa!
[/QUOTE]
Must have been tought to do that but you have done that proves that you are more brave thn at least me.... :)