**Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
wo yaad aya jo paiker tha jafaon ka
usay zoum tha mujhe mitane ka
kuch shouq-e-safar tha humain sehraon ka
hum ne jalna pasand kiya dhoop mein
wo shedaie tha ghane chahaon ka
Hum griftar rahe uske sehar meim
wo punchi raha aazad fizaon ka
Usay aitabar tha zamane bhar py
main raha mujrim uski nigahon ka
Aik baar pocha tu hota sabab khataon ka
main tu muntazir hi raha uski sadaon ka
Bus ajnabi kar gayea aik pal me
jo maan tha meri annaon ka**
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
** hum ne jalna pasand kiya dhoop mein
wo shedaie tha ghane chahaon ka
sardi main bhi ghani chaon?
**
Kinzz
3
Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Hum griftar rahe uske sehar meim
wo punchi raha aazad fizaon ka
Is se aik aur shair yad aa gaya
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Hum griftar rahe uske sehar meim
wo punchi raha aazad fizaon ka
Is se aik aur shair yad aa gaya
kisi rikshaw ke peeche to nahin likha hota wo shair
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Zehni tawazun theak nhi tha shayad…Uska:cb:
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Hum griftar rahe uske sehar meim
wo punchi raha aazad fizaon ka
Is se aik aur shair yad aa gaya
Irshaad.........
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
ab bata bhi do
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Irshaad.........
driver se dil na lagana inki apni majboori hai
ye bewafa nahin hote, inka jana zaroori hai
Kinzz
10
Irshaad.........
Urhne do in panchiyo ko azad fizao Mai
Tere hogen to lout aye ge aik din Tere pas.
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
ye to hy…
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Urhne do in panchiyo ko azad fizao Mai
Terence hogen to lout aye ge aik din Tere pas.
uRny do in Parindo ko AAzad FizAA mein.....
Tere hongay to Loat hi aaayn gay kisi Roz
Kinzz
14
Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Aik hi baat hai 
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Laakh Pinjray ki Shab-o-Roz hifazat krty........
Panchi UuR jaa`ty gar Hum na Mohabbat krty......
Re: Kal rat ch`iR gaya zikar jo wafaon ka
Ji Bilkul…Main ny Kab aytiraaz kia?