**Aitbaar karkay chaut kha chukay hain
apnay zabt ko bahut azmaa chukay hain
khudh ko takleef hui tu ehsas hua
kitnay teer doosaron per chala chukay hain
Meray dukh ki woh dastaan sun ker bolay
ap ye qissa pehlay bhi suna chukey hain
Kal jo meri zaat ka hawala theey
aaj mera naam tak bhula chukey hain
aye.. tabib-i -dil bari deer kardi 
ap key mareez jaan say ja chukay hain…
**
nice but dukh’bhari too …:k:
Ab ke us ki aankhoon mein
Be-sabab udaasi thee
Ab ke us ke chehray per
Dukh thaa… be-hawaashi thee
Ab ke yun mila… mujh se
Yun ghazal suni… jaise
Mein bhi na-shanaasa hoon
Woh bhi … ajnabi jaise
Zard khaal-o-khad us ke
Saugwaar daaman thaa
Ab ke us ke lehjay mein
Kitna khur-dara pan thaa
Woh ke umer bhar jis ne
Shehar bhar ke logoon mein
Mujh ko ham-sukhan jaana
Dil se aashnaa likha
Khud se meharbaan samjha
Mujh ko ‘Dilruba’ likha
Ab ke saada kaagaz per
Surkh raushnaee se
Us ne talkh lehjay mein
Mere naam se pehlay !
Sirf ‘Bewafa’ likha…
Azad
11
humm achhaaaaa
ap key mareez jaan say ja chukay hain… Barri jaldi main thay 
SuraJ
13
Kal jo meri zaat ka hawala theey
aaj mera naam tak bhula chukey hain:crying: