Nain
1
Dekho Gey Humein Rouz Mgr Baat na Hogi,
Ek shehr Mein Reh k Bhi Mulaqat na Hogi,
kehna Hy Jo keh Dalo Abhi waqt Hy Bakki
kal Hum tu Hongey, Mgr surt-e-Halat na Hogi,
Jo pochna Hy tumko Abhi poch lo warna
kal shehar Mein phir, Rasm-e-sawalat na Hogi,
Din itney Howy taweel Hijar k logo
Tarpo Gey sar-e-sham Mgr Raat na Hogi,
Ye soch k b Dil tarap uthta Hy “WASI”
Bichrein Gey is tarhn, k kabhi Mulaqat na Hogi.
tarash
2
Re: Kal ho na hoo....
lagta hai shehr mein curfew lagnay wala hai aur tamam mobile network bhi band rahein gy
Nain
5
Re: Kal ho na hoo…
ohhhh Mae fail hu gayi dhayi or de dein 
paisey dalwa ker dijiye 
hertaal hai 
tarash
6
Re: Kal ho na hoo....
SMS bejh doh.
mobile network kaam nahin kar rahy,so sms bhi mushkil
ehsan
7
Re: Kal ho na hoo…
achha hai na, hamaray zamany mein kabtoor hotey thay, koi masla hee nahin tha. 
tarash
8
Re: Kal ho na hoo…
sahi kaha aap ne,nay daur k nay taqazay,nae preshanian
tarash
9
Re: Kal ho na hoo…
aap kahin shehzada saleem k zamany k to nahin:hmmm:
Nain
10
Re: Kal ho na hoo…
nahi quaid-e-azam zamney ke hain ek dafa bataya tha 
phir tu gana bhi gana perta huga kaboter ja ja ja kaboter ja ja ja 
ehsan
11
Re: Kal ho na hoo…
Hum log toh yeh gatey they:
system
12
Re: Kal ho na hoo....
ghazal achi hay par Wasi ki to nahi hay.. Akhtar Malik ki hay :(