ehsan
1
One of my favourites. Posted it a few years ago.
kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
kuch ney kaha yeh chand hai kuch ne kaha chehra tera
hum bhi vahin maujud thay hum se bhi sub puucha kiye
hum hans diye hum chup rahe manzuur tha parda tera
is shehar mein kis se milen hum say toh chuTi mehfileyn
hur shakhs tera naam le hur shakhs diiwana tera
kooche koh tere chor kar jogi hee bun jaayein magar
jungal tere parbat tere basti teri sahara tera
hum aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftaadagi
ehsan hai kyaa kyaa tera ai husn-e-beparvaa teraa
do ashk jaane kis liye palkon pey aa kar tik gaye
altaf kee baarish teri ikram kaa dariya tera
ai bedaareg-o-be_amaan hum ne kabhi kee hai fuGaan
ham ko teri vahashat sahi hum ko sahi sauda tera
tu bevafa tuu maharabaaN hum aur tujh se bad-gumaan
hum ne to pucha tha zara yeh waqt kyuun Thahara tera
ham par ye sakhti kee nazar ham hain faqir-e-rah_guzar
rasta kabhi roka tera daaman kabhi thaama tera
haaN haaN teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin
is shakhs ke ashaar se shohara hua kya kya tera
beshak usi ka dosh hai kahata nahin Khamosh hai
tuu aap kar aisi davaa bimaar ho achcha tera
bedard sunani ho to chal kahta hai kya achee Gazal
ashiq tera rusava tera shaayar teraa “Inshaa” tera
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
its beautiful eb .. ye sub ki hi favorite hai :)
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
wah kia baat hai. boht aala :k:
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
beautiful sharinf :-)
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
Bhut ache hai :k:
fara
6
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
Shab nay sahi kaha, yeh sub ki he favourite hay :)
UZ
7
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
My all time favorite :k: Never tired of hearing it
Koyal
8
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
hmmm tu kla tu phiR ap soey nahi hooN gain ha na :p
nice choice :)
ehsan
9
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
hmmm tu kla tu phiR ap soey nahi hooN gain ha na :p
nice choice :)
neend urr jati hai ashkon say
koi jub naam uss ka leta hai
Amal
10
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
Bohat raggri gai hey ye ghazal :D
Re: kal chaudhavin kee raat thee shab bhar raha charcha tera
Lekin yakeenan yeh ik bohat haseen ghazal hain na :@: