Kal Aur Aaj

Woh Bhee Kiya Log Thay Asaan Thee Raahain Jin Key
Band Ankhain Kiay Ik Simt Chalay Jaatay Thay
Aqal-o-Dil Khavab-o-Haqeeqat Key Na Uljhan Na Khalish
Mukhtalif Jalvay Nigahoun Ku Na Behlatay Thay

Ishq Sada Bhee Tha Baykhud Bhee Januu Peesha Bhee
Husn Ku Apni Adaaoun Pay Hijaab Aata Tha
Phool Khiltay Thay Tu Phooloun Main Nasha Houta Tha
Raat Dhaltii Thee Tu Sheeshoun Pay Shabab Aata Tha

Chandni Kaif Asar Rooh-Afzaa Houti Thee
Abar Aata Tha Tu Budmust Bhee Hu Jaatay Thay
Din Main Shoorish Bhee Howa Kartii Thee Hungamay Bhee
Raat Key Goud Main Munh Dhanp Kay Soo Jaatay Thay

Narm Ru Waqat Kay Dharay Pay Safeenay Thay Rawaan
Sahil-o-Baher Kay Aaieen Na Badaltay Thay Kabhii
Nakhudaoun Pay Bhiroosa Tha Moqadar Pay Yaqeen
Chaadar-e-Aab Say Toufaan Na Ubhaltay Thay Kabhi

Hum Kay Toufanoun Kay Paalay Bhee Sataiy Bhee Hain
Barq-o-Baraan Main Wohi Shamaien Jaalain Kaisay
Yey Ju Aatish Kada-e-Duniyaa Main Bharak Utha Hai
Ansoo-oun Say Ussay Her Baar Bhujain Kaisay

Kar Diya Barq-o-Bujharat Nay Mehsher Burpaa
Apnay Daftar Mian Litafut Kay Siwa Kuch Bhee Nahee
Ghir Giya Waqt Key Bay Rahum Kishakish Main Magar
Pass Tehzeeb Key Doulat Kay Siwa Kuch Bhee Nahee

Yey Andhaira Yey Talatum Yey Hawaoun Ka Kharoosh
Iss Main Taroon Key Subak Narm Zia Kiya Kartii
Talkhi-e-Zeest Say Karwa Howa Ishq Ka Mizaj
Nigah-e-Yaar Key Masoom Ada Kiya Kartii

Safar Asaan Tha Tu Manzil Bhee Barii Rooshan Thee
Ajj Kis Darja Purisrar Hain Raahain Apnii
Kitnii Parchaiyaan Aati Hain Tajali Bun Kar
Kitnay Jalvoun Say Ulajhtii Hain Nigahain Apni

Re: Kal Aur Aaj

very lengthy but good sharing


Thank u Abeeha:) Yeah it is a bit long but very nice wordings:)

Re: Kal Aur Aaj

Buhat Achchi Sharing Muddi Pra :~)


Thank u PK:)

Re: Kal Aur Aaj

good sharing......muddi

Re: Kal Aur Aaj

Hum Kay Toufanoun Kay Paalay Bhee Sataiy Bhee Hain
Barq-o-Baraan Main Wohi Shamaien Jaalain Kaisay
Yey Ju Aatish Kada-e-Duniyaa Main Bharak Utha Hai
Ansoo-oun Say Ussay Her Baar Bhujain Kaisay

umdaa


Thank u Safia jii:)


Thank u muncho:)

bohaat khoob :)


Thank u these are indeed very beautiful words seedhay dil main uternay walay:)

Re: Kal Aur Aaj

if i am not wrong its by Sahir ?
style tou unka hi lag raha hey, he amazed me always, thanks muddi for sharing :-)


Its by Aal-e-Ahmad Saroor....................It is very nice to see ya back on this forum, participating :)

Acha i thought its by him :bummer:

Re: Kal Aur Aaj

very nice :k:

Thank u Bheegi:)