Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna

**Kaisa maazi tha kya hai haal apna
Dekhnaa tha hamaiN zawaal apna

Aur bhi ho gaye haiN hum tanhaa
Ek zara aaya tha khayaal apna

Dasht ho baaz-gasht se aabaad
Koyee duhrayee to sawaal apna

Yeh safar khatm yuN nahi hoga
Raasta badleiN mah O saal apna

Dekh hum phir jala rahe hain Chiragh
Aey hawa hauslaa nikaal apna**

Re: Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna

Aur bhi ho gaye haiN hum tanhaa
Ek zara aaya tha khayaal apna

bohat alaa.

Re: Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna

Boht khoob,

Re: Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna

thnx :hat:

Re: Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna

Bohat Khoob Pktun..:k:

Re: Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna

Wow!!!