KAISA HAI YE MERA CHAAND
Jab Raat Ko Sehma Sehma Sa Tanha Sa Nikla Aata Hai….
Main Apney Chaand Ko Dekhtee Hoon…
Or Us Say Batein Karteen Hoon…
Bas Us Ki Ho Jateen Hoon…
Kuch Us Main Youn Kho Jatee Hoon…
Woh Kehta Hai Main Suntee Hoon..
Bas Us Ko Taktee Rehtee Hoon…
Woh Jaan K Mujh Ko Tarpaata Hai…!
Badal Ki Taiz Hawaoon Main Kabhi Dhakta Hai Kabhi Chup Jata Hai …
Kuch Dair Jo Mere Pass Na Reh Kar…!Bechain Mujhey Kar Deta Hai…
Ghabra K Aagay Barhtee Hoon ….Jo Dhondney Us Ko Lagtee Hoon…
To Samney Mere Aajata Hai…
Jab Raat Ko Us K Shaaney Per Sar Rakh K Jo Main Roteen Hoon
Barey Pyaar Se Mujh Ko Taktaa Hai… Bahoon Main Mujhey Bhar Leta Hai…
Main Bhool K Apney Zakhmoon Ko Dunyawi Sarii Rasmoon Ko…
Jo Doob Si Us Main Jatee Hoon…Kuch Pal K Liye Soo Jatee Hoon…
To Chain Mujhey Aajata Hai…
Who Hansta Hai…Main Hanstii Hoon..
Who Rota Hai…Main Rotee Hoon…
Woh Dhalta Hai…Main Bujhtee Hoon…
Who Mera Hai…Main Us Ki Hoon…
Dewaana Hai Ye Mera Chaand