**Kaho wo dasht kaisa tha
Jidhar sab kuch luta aay
Jidhar aankhain ganwa aay
Kaha selaab jaisa tha
Bohut chaha keh bach niklain
Magar sab kuch baha aay
Kaho wo hijr kaisa tha
Kabhi choo kar usay daikha
Tou tum nai kia bhala paaya
Kaha bas aag jaisa tha
Usay choo kar to apni rooh
Ye tann mann jala aay
Kaho wo wisl kaisa tha
Tumhain jab choo lia us nai
Tou kia ehsaas jaaga tha
Kaha aik rastay jasa tha
Jidhar sai bas guzarna tha
Makaan likin bana aay
Kaho wo chaand kaisa tha
Falak sai jo utar aaya
Tumhari ankhon main basnay
Kaha wo khuwaab jaisa tha
Nahi taabeer koi us ki
Usay aik shub sula aay
Kaho wo ishq kaisa tha
Bina sochay, bina samjhay
Bina parkhay kia tum nai
Kaha titli kai rang jaisa
Bohut kacha anokha sa
Jabhi us ko bhula aay
Kaho wo naam kaisa tha
Jisay sehraoon aur chanchal
Hawaoon pai likha tum nai
Kaha bas mausamon jaisa
Jisay na jaanay kis ghari
Kisi ro main mita aay**