A poem for u all from my bayaaz…its my fav, hope u all like it.
Kaho woh dasht kesa tha?
jidhar sab kuch luta aye
jidhar aankhein ganwa aye
kaha selaab aisa tha, bohot chaha k bach nikloon magar sab kuch baha aye
kaho woh hijr kesa tha
kabhi chhoo ker ussay dekha
tu tum ne kiya bhala paya?
kaha bas aag jesa tha, ussay chhoo ker tu apni rooh, yeh tann mann jala aye
kaho woh wasl kesa tha?
tumhein jab chhoo liya uss ne
tu kiya ehsaas jaga tha
kaha ikk raastay jesa, jidhar se bas guzarna tha, makaa.n laikin bana aye
kaho woh naam kesa tha?
jissay sehraao.n aur chanchal
hawaao.n per likha tum ne
kaha bas mausamo.n jesa, najanay kiss tarha, kiss pal, kisi ro mein mita aye.
Aray naheen mujhay waqai aap ki likhi hovee poetry achchi laggi thee,main to AZAD bhai say kah raha tha k kabhee kissi ka dil rakhnay k liyay bhee kuch kah diya karo yeh HUMMMMM kiya hota hay
Aray naheen mujhay waqai aap ki post ki hovee poetry achchi laggi thee,main to AZAD bhai say kah raha tha k kabhee kissi ka dil rakhnay k liyay bhee kuch kah diya karo yeh HUMMMMM kiya hota hay