kaho wo chaand kesa tha?
jidher sub kuch luta aaye
jidher aankhieN gunWa aaye
kaha, sailaab jesa tha
boht chaha k bach niklieN, mgr sub kuch baha aaye..!
kaho wo hijR kesa tha?
kabhii cho ker ussay dekha
tu tum ne kia bhala paaya
kaha, bus aag jesa tha
ussay cho ker tu apnii rooh, ye tann mann jala aaye..!
kaho wo wasal kesa tha?
tumhe jub cho liya us ne
tu kia ehsaas jaaga tha
kaha, aik raastayy jesa
jidher se bus guzaRna tha, mgr makaaN bana aaye..!
kaho wo chaand kesa tha?
falak se jo uteR aaya tumharii aankho`N mein basnayy
kaha, wo khwaab jesa tha
nhe tabeer thii us kii, ussay ik shab sula aaye..!
kaho wo ishQ kesa tha?
bina sochayy, bina parkhayy kiya tum ne
kaha, titlii k rung jesa
boht kachaa, anookha sa, jabhii us ko bhula aaye..!
kaho wo naam kesa tha?
jissay sehraoN aur chanchal hawaoN per likha tum ne
kaha, bus mosumoN jesa
najanayy kis gharri, kis pal, kis rou mein mita aaye..!
kaho wo chaand kesa tha?
falak se jo uteR aaya tumharii aankho`N mein basnayy
kaha, wo khwaab jesa tha
nhe tabeer thii us kii, ussay ik shab sula aaye..!