Mukalma by kanwal shahab
kaha dukh k samander ka safar ab tak raha kesa???
kaha uljay kinarun ka koee imkan dekha hai
kahO darya kinarun say bhala kia guftagu tahri ???
kaha darya ko apnay zabt pay heran dekha haii
kaha kun kis lea khola hai tum nay dil ka darwaza ???
batay dil k rastun par koee mahman dekha haii
khao us ishq ki baat bhala kia had rahe ho ge ??
kaha wo ishq jesay rouh ka sartan dekha haii
kaho us say becharnay kii tumhain manzoor ye ho ga ??
kaha jenay ki khwahish ko kabii qurban dekha haii
kah phir tum pay kai guzri wo khawab-e- zindagi kho kar??
kaha k apni ankhun ko buhat bejan dekha haii