**~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~**



~~~~*~~~~

Tumhain ZiD Hay K Main Keh DooN

Mujhay Zid Hay K Tum Keh Do

MujhaY TuM SaY MuhabbaT HaY

Kaho Mujh Say Muhabbat HaY

Naheen Yeh Jaantay Donoo’N

Muhabbat Kab Bhala Mohtaaj Hay Lafzoon Ki Baatoon KeE

Muhabbat Tou Humari Dharrkanoo’n K Saaz Main ShaamiL

Sureelay Geet K ManinD

Muhabbat Yaad Ki DayveE

Jo Tanha Raat Ko Aksar Utar Aati Hay Aankhoo’n MaiN

Muhabbat Muskurahat Hay Hasee’n Nazuk Say Hontoo’n MaiN

Muhabbat Sandali Hathoo’n Ki Nazuk Larzishoo’n Main HaY

Muhabbat Soch Ki Gehraiyoo’n Say Phoott’ti KhushboO

Hamaysha Saath Rehti HaY

Muhabbat Aankh Main Palta Woh Pur’israar Sa Jazba Hay

Jissay Ab Tak Naheen Koi Samajh PayaA

Na Is Ki Koi Soorat HaY

Na Is Ka Koi Pay’Maana

Dhakay Alfaaz Main Iska Buhat Izhaar Hota HaY

Kuch Aisay Hee K Jaisay AB !!

Tah e Dil Say Tou Hum Donoo’n Buhat Iqraar Kartay HaiN

Magar Phir Bhi Najaanay KiyuN

Tumhain ZiD Hay K Main Keh DooN

Mujhay ZiD Hay K Tum Keh Do !

MujhaY TuM SaY MuhabbaT HaY
KahO MujH SaY MuhabbaT HaY

~~ AadaaB ~~

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

among my most favourites.. beautiful poem.. :bb:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

Wondeful Nazam By AIA................
Its Really Nice to Read It Again N Again

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

nice :)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

Buhat khoob :k:

thanks for sharing :slight_smile:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

long but nice :)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

ThanX EveryOne :~)

Poet Name Is Arshad Malik :~)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

[quote=“Precious_Khan, post:46, topic:170636”]

ThanX EveryOne :~)

:blush:
mujhay Amjad islam amjad ki lagee…
coz un ki poem hai na kaho mujh say mohabat hai:)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

May Be Ho sakta Hay … Magar yeh Arshad Malik ki lik’khi hovee hay … In ki Aik Book Aa’ee Hay Dil DarD Ka Tukrra Hay … Ho sakay Tou Parrh leeje’ayga … Amazing poetry :~)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

Buhut Khoborat Nazam hay, Mein aaj hi apni Fiancee ko Send karta hon :balley:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

kabhe gf ko send kartay ho kabhe fiancee ko …ye majra kya hai?:faizy:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

bohat khubsurat nazam hai :k:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

Ahan...
Inshallah book mille tou zaroor parhon ge:)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

wah wah wah bohot khuun

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

jo kahna hai kahdou dair na hojaye kahi :)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

[quote=“Shab-e-Hijar, post:13, topic:170865”]

jo kahna hai kahdou dair na hojaye kahi :)/QUOTE

kuch baatein unkahi rahni chahiyain, sub baatein kah deen tau baqi kia rah jaaey ga :cb:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~


Hum Is shaiR Ko follow kartay Hain ... Arz kiya Hay ...

Sirf Hathoon Ko Na Daykho Kabhi Aankhain Bhi Parrho
Kuch Sawali Barray Khud'daR Hova Kartay HaiN ..... :~)

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

100ry.. Main roze mein jhoot nahin bol sakti.. :blush:

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

awesome

Re: ~ KahO MujH SaY MuhabbaT Hay ~

^Thanx dear :~)

Kissi Ka DIL RakhnaY K Liay Jhoott Bolna Ja’iz Hay Maulana P^K