khayalaat achay hain, laiken qafia chooN kay bohat lamba rakh liya tha aap nain iss liye kuch jammi nahin...
misra'a-e-saani main aam tor par awwal hisay ka qaafiye say bilkul thora ya siray say koi talluq bazahar maloom nahin hota...
misaal kay tor par iss misray pay ghour karin
*K chah kar hum ko toote ho kaho kahan tak jao ge *
chah kar tootnay main aur jaany ki hadd main bazahar koi rabt nazar nahin aata.
shroo main koi aasaan aur chota qafiya ikhtayaar karin, baad main maharat kay saath lambay qafiye say bhi insaaf kiya jaa sakta hai.
jo mera khayal tha wo aap ko bata diya hai. iss main meri kam-fehmi ka bhi qasoor ho sakta hai laiken jo cheez meray dimagh main khataki hai main nain socha aap ko uss say agah karon. agar mera tajziya ghalat tha aur aap ko abhi bhi lagta hai ghazal issi soorat main theek hai to meri tarf say ma'zrat. laiken aap kyon kay nai shaera hain meri tarha aur main apnay liye ye pasand karta hoon kay log shaeri meri shaeri ka tajziya karin aur jahan koi jhool, koi kammi nazar aai mujhe uss say agah karin, iss liye aap ko bhi bata diya. umeed hai kay aap bura nahin maaneiN gi.