wo shaks hi kya jo der jaye halaat ki khuni gardish se,
Us daur me jeena lazim hai jis daur mei jina mushkil ho..
chalaa jaataa huN haNstaa, kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye!!!**
Sarmad its not Ghalib's shair, but contain a beautiful khayal. Agar iss shair ki teesri line se ghalib nikal diya jae to sari lines kafi had tak wazan main ajaengi.
**nahiiN…AsGhar kaa hii hai aur is she’r kii ek history hai aur vo yeh k…jab log unkii jawaaN saal beTii ke intiqaal par ta’ziyat karne aaye to aapne do she’r paRhe…ba’d meN donoN ash’aar ko Ghazal meN tabdeel kar diyaa:
1.
chalaa jaataa huN haNstaa kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniyaan hoN, zindagii dushwaar ho jaaye
aur
2.
aalaam-e-rozgaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa
donoN GhazleN bhii mulaaHizah farmaa leN:**
**nazar vo hai k jo kaun o makaN ke paar ho jaaye
magar jab rooH-e-taabaaN par paRe be_kaar ho jaaye
nazar us Husn par Thahre to aaKhir kis taraH Thahre
kabhii jo phool ban jaaye kabhii ruKhsaar ho jaaye
chala jaata huuN haNstaa kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye!!!
haan ji bilkul aitaraz hai …aap sari dunia k samnay gobhi ko gulab ka takalus day k dekhain ;)…phir may bhi yehi sawal pochon ga or logo ki nazron may chupi hasi aap ko bhi nazar ayee gi …jo zahiri baat hai aap ki baat pay unhain aaa rahi ho gi…