kahin wo chehra-e-zeba nazar nahin aya…
gaya wo shakhs to phir lot kar nahin aya
kahon to kis say kahon aagay ab sar-e-manzil…
safar tamaam hua, ham safar nahin aya
saba nay faash kiya ramz-booey gesu-e dost..
ye jurm ehl-e tamanna kay sar nahin aya
phir ek khuaab-e wafa bhar raha hay aankhon mein…
ye rang hijr ki shab jaag kar nahin aya
kabhi ye ghum kay khud agaya to mil laingay…
kabhi ye fikar kay wo kyun idar nahin aya
mein wo musafir-e dasht-e gham-e muhabbat hoon..
jo ghar pohanch kay bhi sochay kay ghar nahin aya
yoon hi salika-e arz-e hunr nahin aya…
faghan kay aaina-o aks mein bhi duniya ko…
rifakaton ka salika nazar nahin aya
maal-e zabt-e tamanna sehr pay kya guzrii..
buhat dinon say wo ahifta-e sar nahin aya
Munir
2
Re: kahin wo chehra-e-zeba nazar nahin aya...
[QUOTE]
*Originally posted by Dragon~King: *
kahin wo chehra-e-zeba nazar nahin aya...
gaya wo shakhs to phir lot kar nahin aya
kahon to kis say kahon aagay ab sar-e-manzil...
safar tamaam hua, ham safar nahin aya
saba nay faash kiya ramz-booey gesu-e dost..
ye jurm ehl-e tamanna kay sar nahin aya
phir ek khuaab-e wafa bhar raha hay aankhon mein....
ye rang hijr ki shab jaag kar nahin aya
kabhi ye ghum kay khud agaya to mil laingay....
kabhi ye fikar kay wo kyun idar nahin aya
mein wo musafir-e dasht-e gham-e muhabbat hoon..
jo ghar pohanch kay bhi sochay kay ghar nahin aya
yoon hi salika-e arz-e hunr nahin aya...
javab nahe dragon bhai
faghan kay aaina-o aks mein bhi duniya ko...
rifakaton ka salika nazar nahin aya
maal-e zabt-e tamanna sehr pay kya guzrii..
buhat dinon say wo ahifta-e sar nahin aya
[/QUOTE]
Nice !
Yeh alag baat ke afshaa na huwa tu warna
Mein ne kitna tujhe mehsoos kiya tere baad