Re: Kyaa ummed karen hum unse jin ko vafaa maaloom nahin
*jin ki gali main umr ganvaa di jeevan bhar hairaan rahe * *paas bhi aake paas na aaye jaan ke bhi anjaan rahe * *kaun si aakhir ki thi hamne aisi khataa maaloom nahin *
ai mere paagal armaanon jhoothe bandhan tod bhi do * *ai meri zakhmii ummeedon dil kaa daaman chhod bhi do
*tum ko abhi is nagari main jeene ki sazaa maaloom nahin *
bohat khoobsurat choice