Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

*kyaa ummeed karen hum unse jin ko vafaa maaloom nahin *
*gham denaa maaloom hai lekin gham ki davaa maaloom nahin *

*jin ki gali main umr ganvaa di jeevan bhar hairaan rahe *
*paas bhi aake paas na aaye jaan ke bhi anjaan rahe *
*kaun si aakhir ki thi hamne aisi khataa maaloom nahin *

*ai mere paagal armaanon jhoothe bandhan tod bhi do *
ai meri zakhmii ummeedon dil kaa daaman chhod bhi do

*tum ko abhi is nagari main jeene ki sazaa maaloom nahin *

Re: Kyaa ummed karen hum unse jin ko vafaa maaloom nahin

wah kya baat hai:)

Re: Kyaa ummed karen hum unse jin ko vafaa maaloom nahin

khob hai bhai

Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

tum mere paas raho *
*mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho *
*

jis ghadi raat chale *
*aasamaanon kaa lahoo pee kar siyah raat chale

**
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale *
*bain karati hui, hansati hui, gaatee nikale *
*dard kee kaasanii paazeb bajaati nikale

**
jis ghadi seenon main doobte huye dil *
*aasteenon main nihaan haathon kii rah takane nikale *
*aas liye *
*

aur bachchon ke bilakhane ki tarah qul-qul-e-may *
*bahr-e-naasudagi machale to manaaye na mane *
*

jab koi baat banaaye na bane *
*jab na koi baat chale *
*jis ghadi raat chale *
*jis ghadi maatami, sun-saan, siyah raat chale *
*

paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho

Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

*kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo *
*hamaare aansuon par khaak daalo *

*manaanaa hi zaroori hai to phir tum *
*hamen sab se khafaa hokar manaa lo *

*bahut roi hui lagati hain aapki aankhen *
*meri khaatir zaraa kaajal lagaa lo *

*akelepan se khauf aataa hai mujh ko *
*kahaan ho ai mere khvaabon khayaalo *

bahut maayoos baithaa hai "HullaGulla" tum se
*kabhi aakar mujhe hairat main daalo *

Re: Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

**Iss misray main aapki, aapka apna edition hay - bara-e-meherbani yeh sitma na karain! :halo: :halo: :halo: **

Waqayee… mayoosi main itnay thread kholay hain… khushi kay aalam main humko kitna suffer kerna peray ga :grumpy:

Re: Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

Aap 'Suffer" karte hain yaa fir ‘Safar’ karte hain :slight_smile:

Re: Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

nice one...

Re: Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

ai mere paagal armaanon jhoothe bandhan tod bhi do
ai meri zakhmii ummeedon dil kaa daaman chhod bhi do

*tum ko abhi is nagari main jeene ki sazaa maaloom nahin *

Bohat Khoob:k:

Re: Kahin aisaa naa ho daaman jalaa lo

wow - great stuff once again..

Re: Kyaa ummed karen hum unse jin ko vafaa maaloom nahin

bohat khoobsurat choice