Kahin aaisa na ho

Kahin aaisa na ho daaman jala lo
Hamaray aansuon par khaak daalo !

Manana bhi zaroori hai to phir tum,
Hamay sabsay khafa ho kar mana lo !

Bahut royee hui lagti hain aankhay,
Meri khatir zara kaajal laga lo !

Akelay-pan say khauf aata hai mujko,
Kahan ho ay meray khawab-o-khayalo !

Bahut mayoos baitha hun main tumsay,
Kabhi aakar mujhay hairat mein daalo !

(Liyaqat Ali Azim)


Irfan Ismail