Kahin aaisa ho na daaman jala lo,
Hamaray aansuon par khaak daalo !!
Manana bhi zaroori hai to phir tum,
Hamay sabsay khafa ho kar mana lo !!
Bahut royee hui lagti hain aankhay,
Meri khatir zara kaajal laga lo !!
Akelay-pan say khauf aata hai mujko,
Kahan ho ay meray khawab-o-khayalo !!
Bahut mayoos baitha hun main tumsay,
Kabhi aakar mujhay hairat mein daalo !!
Kahin aaisa ho na daaman jala lo,
Hamaray aansuon par khak daalo !!
Irfan Ismail