**Kahiin to kaaravaan-e-dard kii manzil Thahar jaaye
kinaare aa lage umr-e-ravaaN yaa dil Thahar jaaye **
**amaaN kaisii ki mauj-e-KhuuN abhii sar se nahiin guzarii
guzar jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil Thahar jaaye **
**ko_ii dam baadabaan-e-kashtii-e-sahabaa ko tah rakho
zaraa Thaharo Gubaar-e-Khaatir-e-mahafil Thahar jaaye **
**hamaarii Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaaN hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye **
**nigaah-e-muntazir kab tak karegii aa_iinaabandii
kahiin to dasht-e-Gam mein yaar kaa mahamil Thahar jaaye **