Kaheen se us ne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa

*Kabhi jo chairh gaee yaad-e-raftagaan Mohsin Bikhar gaeen hain nigaahain kahaan kahaan Mohsin

Hawa ne raakh uraee tu dil ko yaad aaya
Ke jal bhujeen mere khwaboon ki basteyaan Mohsin

Kuch aise ghar bhi milay jin mein ghonghatton ke aiwaz
Huween hain dafan dupattoon mein larkeyaan Mohsin

Khandar hai ehad-e-guzashta na choo na chairh issay
Khuleen tu band na hoon is ki khirkheyaan Mohsin

Bhuja hai kaun sitaara ke apni aankh ke saath
Huwe hain saaray manaazir dhuwaan dhuwaan Mohsin

Nahee ke us ne ganwaaye hain maah-o-saal apne
Tamaam umer kati yun bhi raegaan Mohsin

Mila tu aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Samaitna theen jissay meri kircheyaan Mohsin

Kaheen se us ne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa
Kaheen se bhool gaya mein bhi daastaan Mohsin…
*

:k:

Re: Kaheen se us ne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa

[QUOTE]
Originally posted by Amarbail: *


Nahee ke us ne ganwaaye hain maah-o-saal apne
Tamaam umer kati yun bhi raegaan Mohsin

Kaheen se us ne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa
Kaheen se bhool gaya mein bhi daastaan Mohsin...
*
[/QUOTE]

:(

Ba kamaal :)

:k:

nice :k:

Thanks all for visiting and appreciating ... !

Nice :k: