Hawa ne raakh uraee tu dil ko yaad aaya
Ke jal bhujeen mere khwaboon ki basteyaan Mohsin
Kuch aise ghar bhi milay jin mein ghonghatton ke aiwaz
Huween hain dafan dupattoon mein larkeyaan Mohsin
Khandar hai ehad-e-guzashta na choo na chairh issay
Khuleen tu band na hoon is ki khirkheyaan Mohsin
Bhuja hai kaun sitaara ke apni aankh ke saath
Huwe hain saaray manaazir dhuwaan dhuwaan Mohsin
Nahee ke us ne ganwaaye hain maah-o-saal apne
Tamaam umer kati yun bhi raegaan Mohsin
Mila tu aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Samaitna theen jissay meri kircheyaan Mohsin
Kaheen se us ne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa
Kaheen se bhool gaya mein bhi daastaan Mohsin…*