Mujhay apnay zabat peh naz tha sar-e-bazam raat yeh kiya hua
Mairi ankh kiun chalak pari mujhay gham hai yeh bura hua
Mujhay aap kiun na samajh sakay yeh apnay dil he say poochiyaee
Mairi dastan-e-hayyat ka tha warq warq khula hua
Mairi samnay say abhi abhi jo nazar chura keh ghuzar gayaee
Woh meray hi shehar kay loog thay ghar say ghar tha jurra hua
Mujhay rastay main para hua aik badnaseeb ka khat mila
Kaheen khoon-e-dil say likha hua kaheen ansoon say mita hua
Mujhay humsafar mila bhi tu meri hi tarha ka badnaseeb
Kaheen manziloon ka thaka hua kaheen rastoon ka loota hua
Wow.. very nice ghazal.. :k:.. keep sharing..
Zabardast :k:
very nice :k:
v nice one of ma fav thanks 4 sharin ...:)
one of my fav... thanx for posting:-)
Nice1
:k: