mohabat kho dain hum paa kar kaheen aaisa bhi hota hai
juda rehtey hain hum milkar kaheen aaisa bhi hota hai
sama jo piyaar ka humne guzara tha baharoon main.
zehar lagata hai wo manzar kaheen aasia bhi hota hai
hui thi bazam ronakh apni chahat se wafaaon ki
andhere chaa gaye usper kaheen aaisa bhi hota hai
jigar ke khoon se seecha tha humne jo chaman apna
jala daala khudi jalkar kaheen aaisa bhi hota hai
meri maiyaat pe dushman bhi mere aasnu bahatey hain
na roye tum mager aaaker kaheen aasia bhi hota hai