Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..
Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..
Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,
Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..
Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..
Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!
Re: Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Bohat Umdah…:k:
Re: Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
:)
Re: Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..
Bijli aane ke baad chup caap so jana chahiye, aisa na ho ke KESC/WAPDA ki buraiyon main lag kar sakoon ke chand lamhaat bhi hath se nikal jaen
Re: Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Lolz me in Dubai no Wapda issue 
Re: Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Kabhi to aana hoga na Pak main
Re: Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
G jald he inshahallah :)